Saturday, 23 May 2009
Bharat desh mahan…
Bharat desh mahan… by SHAHKAR AMROHVI is licensed under a Creative Commons Attribution-Noncommercial-No Derivative Works 2.5 India License.
Bharat desh mahan hai mera Bharat desh mahan;
Nadiyan jharne aur sagar apni bhasha mein gayen;
Pakshi sundar geet suna ker subka mann behlaen;
Kitna sunder desh banaya Rub ka hai ehsaan;
Bharat desh mahan hai mera Bharat desh mahan.
Christmas Id Diwali Onam yeh sub hi hain apne;
Holi ke rango main humne dekhe sundar sapne;
Is karan is per hai apna tan mann dhan qurbaan;
Bharat desh mahan hai mera Bharat desh mahan.
Yahan hain Khuwaja yahan hain Nanak aur yahin hain Gautam;
Inhi ke aadarshon ka is dharti pe huwa hai sangam;
Geeta Bible Gurugaranth aur apna hai Quraan;
Bharat desh mahan hai mera Bharat desh mahan.
Saksharta ka deep jalaen ghar-ghar hai yeh nara;
Subse aage hoga ek din jag mein desh hamara;
Isi se giyani banta hai aur badhta hai vigiyan;
Bharat desh mahan hai mera Bharat desh mahan.
Duniya ke logo ka isko dekhke mann lalchaye;
Jana phir na chahe jo eik bar yahan aa jaye;
Subko apna meet banae mera Hindustan;
Bharat desh mahan hai mera Bharat desh mahan.
Aie Shahkar yahan ka wasi dur kahin jab jaye;
Hindu ho ya Muslim keval Bhartiye kehlaye;
Sub dharmo ka sangam hi bas iski hai pehchan;
Bharat desh mahan hai mera Bharat desh mahan.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment