Saturday, 23 May 2009
Bharat desh mahan…
Bharat desh mahan… by SHAHKAR AMROHVI is licensed under a Creative Commons Attribution-Noncommercial-No Derivative Works 2.5 India License.
Bharat desh mahan hai mera Bharat desh mahan;
Nadiyan jharne aur sagar apni bhasha mein gayen;
Pakshi sundar geet suna ker subka mann behlaen;
Kitna sunder desh banaya Rub ka hai ehsaan;
Bharat desh mahan hai mera Bharat desh mahan.
Christmas Id Diwali Onam yeh sub hi hain apne;
Holi ke rango main humne dekhe sundar sapne;
Is karan is per hai apna tan mann dhan qurbaan;
Bharat desh mahan hai mera Bharat desh mahan.
Yahan hain Khuwaja yahan hain Nanak aur yahin hain Gautam;
Inhi ke aadarshon ka is dharti pe huwa hai sangam;
Geeta Bible Gurugaranth aur apna hai Quraan;
Bharat desh mahan hai mera Bharat desh mahan.
Saksharta ka deep jalaen ghar-ghar hai yeh nara;
Subse aage hoga ek din jag mein desh hamara;
Isi se giyani banta hai aur badhta hai vigiyan;
Bharat desh mahan hai mera Bharat desh mahan.
Duniya ke logo ka isko dekhke mann lalchaye;
Jana phir na chahe jo eik bar yahan aa jaye;
Subko apna meet banae mera Hindustan;
Bharat desh mahan hai mera Bharat desh mahan.
Aie Shahkar yahan ka wasi dur kahin jab jaye;
Hindu ho ya Muslim keval Bhartiye kehlaye;
Sub dharmo ka sangam hi bas iski hai pehchan;
Bharat desh mahan hai mera Bharat desh mahan.
Thursday, 14 May 2009
Banjara hun banjara
Banjara hun banjara by SHAHKAR AMROHVI is licensed under a Creative Commons Attribution-Noncommercial-No Derivative Works 2.5 India License.
Banjara hun banjara—dur nagar ka banjara;
Nagri-nagri duware-duware geet wafa ke gata hun.
Prem nagar se main to sabka aik sandesa lata hun;
Aapas mein miljhulkar rehna bas mera hai ye nara.
Banjara hun banjara—dur nagar ka banjara.
Hindu Muslim Sikh Isai mujhko sab se hai aasha;
Aapas mein jo bhi bolen hum kewal prem ki ho basha.
Duniya ko ye dikha denge hum desh hamara hai niyara;

Jab sab mil kar sochenge tab desh phala phula hoga;
Shanti aur bhaichare ka ghar-ghar deep jala hoga.
Bharat ko lalchai aankho se dekhe ga jag sara;

Binti hai maataon se woh bachcho ko bhi lori mein;
Bharat bhakti geet sunakar bandhen pakki dori mein.
Aisa karenge tab hi dushman bolega ki main hara;

Bapu ka jo sapna tha woh pura kar ke dikhaenge;
Dharti se aakash tak apne Bharat ko chamkaenge.
Har pal jis mein behti hogi prem ki eik amrit dhara;

Har mazhab ke phool khile hain Bharat ki jis dharti par;
Garv se hum kehte hain hum ne janam liya us dharti par.
Hum se hi shahkar hai phaela galiyon-galiyon ujyara;

Subscribe to:
Posts (Atom)